Get Blog Updates In Your Email

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Wo Din Bhi Kya Hasin The




wo din bhi kya hassin the jab ham tum dono karib the
hazaaron khil uthi kalian jab tere mere dil karib the

jahan ka dar na ruswai ka na dar tha
wo kaisa ishq ka junoon tha wo kaisa mera habib tha

ajib wo zindgi thi ajib thi wo ladaiyan
ghadi bhar me wo ruthna do pal me wo manana

wo kaisa bachpan tha wo bachpan ka pyar tha
wo kaisa chulbula yaar tha wo kaisa mera pyar tha

wo yaad aate hai din mujhe wo jo mera pehla pyar tha
na wo pyar hai na wo bachpana hai
yaad ayi ab to ye khyal tha
wo kaisa mera pyar tha wo kaisa mera yaar tha